HAZRAT LUQMAAN ALAIHISSALAM

HAZRAT LUQMAAN KI nasihat
Hazrat luqmaan alaihissalam ka naam aapne suna hoga Allah Ta’ala ne inko aisi hikmat ataa ki thi ke inka naam aaj tak zinda hai aur quran paak mein bhi ek surat ka naam luqmaan hai allah ta’ala ne quran shareef mein irshaad farmaya hai ke hum ne luqmaan ko aqalmandi di aur kaha ke haq ta’ala ka haq maan agar to allah ka haq manega to ye tere bhale hi ke liye hoga Hazrat luqman apne bete ko chand nasihatein ki jin ka is surat mein zikr hai in nasihaton ka natlab ye hai
1. Aebete Allah Ta’ala ka shareek kisi ko na bana na ke badi na insaafi hai.
2. maa baap ka kehna maanna ke teri maa ne tujh ko pait mein rakha aur is ke liye kitni takleefein uthayi phir do baras tak doodh pilaya haan agar tumhare maa baap ye kahen ke Allah ka kisi ko shareek banao to phir inka kehen ke Allah ka kisi ko shareek banao to phir inka kehna na maanna lekin inki khidmat phir bhi karte rehna.
3.Ae mere bete agar koi cheez rayi ke dane ke barabar hogi aur wo kisi pathar mein ho ya aasmaan wa zameen mein kahin bhi hogi Allah isko qayamat ke roz hazir kardega. Jab
4. Ae mere bete namaz padha kar aur bhali baat sikha aur burayi se mana kar aur jo tujh par musibat pade is par sabar kar beshak ye himmat ke kaam hain.
5. Aur apne gaal na phula logon ki taraf aur math chal zameen par akadta yani guroor na kar Allah ko itrane wale aur guroor karne wale pasand nahi.
6. Aur chal maseeh ki chaal aur neechi kar apni awaaz beshak buri awaaz ghadon ki si hai Hazrat luqman ne apne bete ko jo nasihatein ki wo sab hum sab ke liye bhi hain ke allah ka shreek kisi ko na kare is ka matlab ye hai ke hum yaqeen karlen ke har kaam ka karne wala allah hi hai maa baap ka kehna maanen Agar hum zara barabar bhi neiki ya burayi karenge to Allah Ta’ala is ko qayamat ke roz hazir kardega is liye hum ko nekiyan zyada se zyada karni chahiye aur buraiyon se bachna chahiye taake qayamat ke roz hamara neikiyon ka palla bhari rahe namaz padha karen aur logon ko neik baat sikhaya karen aur buri baat se mana karen aur neik baat samjhane aur buri baat ko rokne mein hum ko kuch takleef bardasht karni pade to is par sabar karen ye badi himmat ka kaam hai guroor na kiya kare ke ye allah ko bahut napasand hai unchi awaaz se na bola karein ke ghade ki awaaz ke mishaba hai bachcho in sab baaton ko apne dil mein bithala.
HAZRAT SULEMAN ALISALAM
Hazrat suleman alisalam hazrat dawood alisalam ke bete the jin ka qissa tum pehle sun chuke ho quran paak mein apka zikr sureh baqra sureh anaam sureh anbiya sureh namal sureh saba aur sureh suaad mein aaya hai Allah Ta’ala ne aapko bhi nabuwat aur badshahat donon ataa ki thi insaanon ke alawa jin hawa aur jaanwar bhi aap ke tabe kardiye the aap in sab ki boliyan bhi samjhte the aur bolte the aap ke zamane mein bani israel ko bahut badhayi hasil hui jo is se pehle kabhi na hui thi hazrat suleman alisalam bhi bawajood itni taqat aur sultanat ke allah ki yaad mein mashgool rehte the inko duniya ki badi se badi cheez bhi allah ke yaad se gafil nahi kar sakti thi ek dafa ka zikr hai ke aap ala darja ke ghodon ko dekh rahe the inke dekhte dekhte asar ki namaz ko dair hogayi aap ne inko phir bulaya aur inki pidliyan aur gardanein kaat dali taake jin ki mohabbat ne allah ki yaad se gafil kardiya inko khatam kardiya jaye ek dafa ka zikr hai aap apni faujon ke saath tashreef le jarahe the chalte chalte chuntiyon ki wadi mein pahunche ek chunti ne kaha apne apne gharon mein ghuss jao aisa na hoke hazrat suleman aur iska lashkar tumhe tabah karde aur inhe iski khabar bhi na ho aap chuntiyon ki baat sunnkar muskuraye aur kaha ae allah mujhe toufeeq de ke mai teri nematon ka shukr adaa karon jo tu ne mujhe aur mere maa baap ko di hai aur aise neik kaam karon jin se tu khush ho aur apni meherbani se mere marne ke baad mujhe apne neik bandon mein dakhil kar ek dafa ka zikr hai ke aap ne parindon ki haziri li to is mein hud hud nazar nahi aaya aapne farmaya ke is ki ghair haziri par hum isko sakht saza deinge ya zubah kardenge warna is ghair haziri ki wajah bayan kare thodi dair baad hud hud aagaya is ne arz kiya ke saba ke shaher se bilkul sahi khabar lekar aaya hoon maine ek aurat dekhi hai jo wahan hukumat karti hai is ke pass har tarah ka samaan hai iska bahut bada takht hai maleka aur is ki qaum ke log suraj ko sajda karte hain aur shaitaan ne inko seedhe raaste se rokdiya hai hud hud ne bayan khatam kiya to aap ne is maleka ke naam ye khat diya allah ke naam se shuru karta hoon jo bada meherbaan nihayat rahem karne wala hai hum se sarkashi na karo aur farmanbadaar hokar hamare darbaar mein hazir ho aur farmaya ke ise saba ki maleka ke paas le jao phir dekho wahan se kya jawab milta hai saba ki maleka ne jis ka naam bilqees tha ye khat apne darbariyon ko padh kar sunaya aur inse poocha ke tum iski babat kya kehte ho sab ne ek zubaan hokar kaha ke hum bade taqat wale aur bade ladne wale hain waise aapko ekhtiyaar hai jo hukm dein maleka ne kaha badshah jab kisi shaher mein dakhil hote hain to ise tabah wa barbaad kardete hain aur aisa hi ye bhi karenge mai inke paas kuch tohfa bhej kar dekhti hoon ke mere ailchi kya jawab laate hain jab ailchi tohfa lekar aaye to hazrat suleman ne farmaya tumhare tohfe tumhi ko mubarak ho tum inhe wapas lejao jab ailchi ne wapas jakar bilqees se hazrat suleman alaihissalam ki baatein kahin to wo darbar mein hazir hone ki tayariyan karne lagi ailchi ke wapas jaane ke baad hazrat suleman alaihissalam ne apne darbaar walon ko hukm diya ke maleka ke takht ko hamare paas lakar hazir karo ek bada dev bola ke mai is se pehle ke aap darbaar se jaaye aap ki khidmat mein pesh kardunga magar ek shakhs aur ke jis ko allah ne kitaab ka ilm diya tha is ne kaha ke mai aap ke aankh jhapakne se pehle takht le aaonga chunacha aap ki khidmat mein pesh kiya gaya to aap ne farmaya mere allah ka imtehaan hai ke iska shukr adaa karta hoon ya nahi beharhaal takht ki surat badal kar beecha diya gaye aur bilqees aagayi to is se poocha ke tumhara takht bhi aisa hi hai bilqees ne jawab diya ye to bilkul waisa hi hai aur hum to pehle hi aapki shaan wa shaukat aur quwat wa taqat ko jaane the aur aapko maan gaye the jis cheez ko ye allah ke siwa poojti thi isne isko ab tak suleman ke paas aane se rok rakha tha phir bilqees se mahel mein jaane ko kaha gaya jab isne hazrat suleman alaihissalam ka mahel dekha jo shishe ka bana hua tha aur maloom hota tha ke pani se bhara hua hai bilqees is mein se guzarne ke liye apne painche upar uthaliye aur apni donon pindliyan kholdi hazrat suleman alaihissalam ne dekha to farmaya ye mahel hai jis mein shishe jude hue hain Garz jab Bilqees ko apne mazhab ki galti maloom hui to pukaar uthi ae Allah maine jo ab tak itni muddat tak suraj ki pooja ki, aur meri wajah se meri qaum bhi isko poojti rahi, to maine apne upar zulm kiya, ab mai Suleman ke saath tamaam jahanon ke paalne wale par imaan laati hoon. Hazrat suleman alaihissalam itne bade nabi aur itne bade badshah the ke insaan jin parinde aur hawa sab inke tabe the magar aap gareeb aur bekason ke saath baith kar khana khate the aur apne haath se chatainya wa tokriyan bana kar rozi kamate the har waqt yaad ilahi mein mashgool rehte raaton ko bahut kam sote din mein allah ki makhlooq ki khidmat karte bas yahi inki zindagi thi

Read more: hazrat luqman hakeem alisalam ka full waqia 2024
  • HAZRAT ESA ALAIHI SALLAM 2024

    Hazrat maryam ke bayan mein aapko bataya ja chuaka hai  ke hazrat esa ali salam ki paidaish kis tarah allah ke hukm se hui  aur allah ta’ala ne aap ko bachpan mein bolna sikha diya  aapne logon se baatein ki … Pura waqia

  • SAYYEDUNA ZUBAIR BIN AWWAM [RADHIYALLAHU ANHU] 2024

    SAYYEDUNA ZUBAIR BIN AWWAM [RADHIYALLAHU ANHU] 2024

    Nabi e kareem [sallallahu alaihi wa sallam] ne farmaya “har nabi ka ek hawari [khaas madadgar] hota hai aur mera hawari zubair hai” [sahih bukhari:2846] sayyeduna zubair bin awwam [radhiyallahu anhu] azeem sahabi e rasool aur ashra e mubashsharah mein … Pura waqia

  • Hazrat ali full waqia in roman english and urdu

    Hazrat ali full waqia in roman english and urdu

    nabi e kareem [sallallahu alaihi wa sallam] ne farmaya “ali se mahabbat momin hi rakhta hai aur un se bughz munafiq hi rakhta hai” [sahih muslim:78] ameerul momineen chauthe khalifa e rashid ashra e mubashsharah mein se ek shakhsiyat Rasoolullah … Pura waqia

  • SAYYEDUNA UTHMAN BIN AFFAN                        [RAZIYALLAHU ANHU] in roman English & urdu  2024

    SAYYEDUNA UTHMAN BIN AFFAN [RAZIYALLAHU ANHU] in roman English & urdu 2024

    hazrat syedna uthman raziyallahu anhu [1] nabi e kareem [sallallahu alaihi wa sallam] ne farmaya main us shakhs se kyon haya na karun jis se Malaika [farishte] bhi haya karte hain [sahih muslim:2401] khalifa e som ameerul momineen sayyeduna uthman … Pura waqia

  • hazrat luqman hakeem alisalam ka full waqia 2024

    hazrat luqman hakeem alisalam ka full waqia 2024

    HAZRAT LUQMAAN ALAIHISSALAM HAZRAT LUQMAAN KI nasihatHazrat luqmaan alaihissalam ka naam aapne suna hoga Allah Ta’ala ne inko aisi hikmat ataa ki thi ke inka naam aaj tak zinda hai aur quran paak mein bhi ek surat ka naam luqmaan … Pura waqia

  • hazrat umar farooq ki zindagi full waqia in roman english 2024

    hazrat umar farooq ki zindagi full waqia in roman english 2024

    SAYYEDUNA UMAR FAROOQ SAYYEDUNA UMAR FAROOQ Nabi kareem [sallallahu Alaihi wa sallam] ne farmaya: “JISS RAASTE PAR UMAR CHALTE HAIN SHAITAN USS RAASTE SE HAT JATA HAI.” [SAHIH BUKHARI:3683]Musalmanon ke dusre khalifa, ameerul momineen sayyeduna umar bin khattab [Radhiyallahu anhu] … Pura waqia

  • ashab e kahf ka waqia in roman english

    ashab e kahf ka waqia in roman english

    ashb e kahaf ka matlab ashab e kahf ka matlab gaar wale ke hain ye chand sache momin naujawan bachon ka qaissa hai jisko quran e paak mein sureh kahaf mein zikar aaya hai ashab e kahf kise nabi ki … Pura waqia

  • Deeni ke 5 shobay in roman English 2024

    Deeni ke 5 shobay in roman English 2024

    DEENI KAY 5 SHOBAY [SECTIONS]: 1. Emaaniyaat Deeni ke 5 shobay in roman English 2024 yaani woh cheezein jin par har ek musalmaan ko dil say pakka yaqeen rakhna aur maanna zaroori hai, jaisay Allaah ek hai aur Hazrat Muhammad … Pura waqia

  • HAZRAT IBRAHIM ALAIHI SALLAM ROMAN ENGLISH AND URDU 2024

    HAZRAT IBRAHIM ALAIHI SALLAM ROMAN ENGLISH AND URDU 2024

    Bachcho aap ka zikr quran majeed mein 68 jagah aaya hai hazrat ibrahim alaihi sallam bahut hi bade nabi guzre hain duniya mein jab buth parasti ka zor hogaya log buthon ko banate aur khud inki pooja karte hazrat ibrahim … Pura waqia

Leave a comment