HAZRAT IBRAHIM ALAIHI SALLAM ROMAN ENGLISH AND URDU 2024

Bachcho aap ka zikr quran majeed mein 68 jagah aaya hai hazrat ibrahim alaihi sallam bahut hi bade nabi guzre hain duniya mein jab buth parasti ka zor hogaya log buthon ko banate aur khud inki pooja karte hazrat ibrahim alaihi sallam ke walid bhi buth banate the aur buthon ko khuda samajhte the hazrat ibrahim alaihi sallam abhi bachche hi the wo dekhte ke mere walid aur dusre log khud hi mitti aur lakdi se buthon ko banate hain aur phir inko khuda samajhne lagte hain wo hairaan hue ke kis qadar bewakhoof hain ye sab log in bejaan murtiyon ko khuda samajh rahe hain.

HAZRAT IBRAHIM ALAIHI SALLAM BUTHON KO TODHNA


hazrat ibrahim alaihi sallam logon se kehte ke tum log kyun in buthon ko poojte ho ye tumhe na koi nafa de sakte hain na nuqsaan magar wo jawab dete ke jo hamare baap dada karte aaye hain wohi hum kar rahe hain ek roz in logon ka shaher se bahar koi bada mela hua ye sab log is mele mein shareek hone shaher se chale gaye hazrat ibrahim alaihi sallam is mele mein na gaye inke peeche hazrat ibrahim alaihi sallam mulk ke bade buth khaane mein gaye aur wahan ke sab buthon ko todh daala siwaye ek sab se bade buth ke aur kulhadi jis se sab buthon ko todha tha wo is bade buth ke kaandhe par rakhdi jis se ye maloom hota tha ke ye sab isi ne todhe hain log jab wapis aaye unho ne jab buthon ki ye durgat dekhi ke kisi ka sar nahi hai to kisi ka pair nahi to bahut gussa hue ke ye harkat kis ne ki hai sab ne shuba hazrat ibrahim alaihi sallam par kiya ke wohi buthon ko bura kehte the aur mele mein bhi nahi gaye the aakhir inko bula kar poocha ke ye buth kis ne todhe hain hazrat ibrahim alaihi sallam ne jawab diya ke mujh se poochne ke bajaye apne khudaon se kyun nahi poochte jinki tum ibadat apne khudaon se kyun nahi poochte jinki tum ibadat karte ho ke inko kisne todha hai wo khud batadenge in logon ne jawab diya ke aapko maloom hai ke ye bol nahi sakte hazrat ibrahim alaihi sallam ne kaha ke phir tum aise bekaar khudaon ki pooja karte ho hazrat ibrahim alaihi sallam ne phir kaha ke kulhadi bade buth ke kaandhe par rakhi hai ye kaam isi ka maloom hota hai is se poocho ye log bahut naraaz hue aur inke baap azaar se shikayat ki ke tumhare beta aisi harkatein kar raha hai isko samjhalo warna achcha na hoga Hazrat ibrahim alaihi sallam ne apne baap ko bhi samjhaya aur buth parasti se mana kiya aur arz kiya ke ae baap mai darta hoon ke tum par khuda ka koi azaab naazil na ho is par inke baap bahut sakht naraaz hue aur kaha ke aainda tu ne mujh se koi aisi baat kahi to mai tujhe sangsaar kardunga aur kaha kectu mere paas se hamesha ke liye chale ja aap ne baap ko salam kiya aur kaha ke mai chala jata hoon lekin tumhare liye maghfirat ki dua karta rahunga

HAZRAT IBRAHIM ALAIHI SALLAM AUR AAG


phir kya hua wahan ke badshah namrud ko jo bahut zalim aur buth parast tha in sab baaton ka paata chala ke azaar ka beta ibrahim logon ko buthon ki pooja se mana karta hai aur ek khuda ki dawat deta hai to isne inko apne darbaar mein bulaya aur aap se jhagadne laga hazrat ibrahim alaihi sallam ne farmaya ke mera khuda to wohi hai jo maarta bhi hai aur zinda bhi karta hai namrud ne kaha mai bhi maar sakta hoon aur zinda kar sakta hoon chunacha isne ek qaidi ko jisko sazaye mout ka hukm ho chuka tha azaad kardiya aur ek begunah ko pakad kar qatal kara diya aur kaha ke ab batao ke mere aur tumhare khuda ke darmiyan kya farq hai hazrat ibrahim alaihi sallam ne kaha ke mere rabb har roz suraj mashriq se nikaalta hai tum ise Maghrib se nikaal do is par namrud lajawab hogaya aur hukm diya ke hazrat ibrahim alaihi sallam ko zinda jala diya jaye chunacha bahut si kakdiyan ekhatti ki gayi aur in mein aag lagayi gayi jab aag bahut bhadak uthi aur iske sholay aasmaan ki khabar laane lage to hazrat ibrahim alaihi sallam ko is mein phenk diya gaya magar wo aag khuda ke hukm se thandi hogayi aur aapko aag se koi takleef nahi pahonchi is taarh jo allah ta’ala ke kehne par chalte hain allah paak unko har takleef se bacha lete hain ayr unko asaaniyan hi asaaniyan ho jati hain aur jo log allah ta’ala ka kehne nahi maante inke liye is duniya mein mushkil hi mushkil hoti hai aur marne ke baad to hamesha jahanum mein rahenge

HAZRAT IBRAHIM ALAIHI SALLAM AUR ZAMZAM


hazrat ibrahim alaihi sallam allah ke hukm se hazrat hajera aur apne bachche hazrat Ismail alaihi sallam ko jo abhi paida hue the ek aisi jagah chord aaye jahan door door tak abaadi na thi aur na pani aur na koi darkht tha hazrat hajera ne hazrat Ismail alaihi sallam ko ek pathar ke saamne litaya aur khud pani ki talaash mein idhar udhar daudhe lekin pani na mila khuda ki qudrat se jahan hazrat Ismail alaihi sallam aidiyan ragadh rahe the wahan pani ka chashma phoot nikal jo aaj tak zam zam ke naam se mashhoor hai aur hazrat jahan daude the ise safa wa marwa kehte hain jahan jaa kar aaj haji isi tarah daudhte hain

HAZRAT IBRAHIM ALAIHI SALLAM AUR QURBANI

1000016175 HAZRAT IBRAHIM ALAIHI SALLAM ROMAN ENGLISH AND URDU 2024

hazrat Ismail alaihi sallam kuch bade hue to hazrat ibrahim alaihi sallam ko allah ki taraf se hukm hua ke apne bete Ismail alaihi sallam ko meri raah mein qurban kardo chunache aapne hazrat Ismail alaihi sallam ko ye baat batayi hazrat Ismail alaihi sallam ne kaha ke abba jaan allah ta’ala aapko jo hukm de rage hain isko zaroor poora kijiye aap insha allah mujhe sabit qadam payenge chunacha hazrat ibrahim alaihi sallam apne bete hazrat Ismail alaihi sallam ko zubaah karne ke liye lekar chale aur jungle mein le jaakar unko ultha litaya aur apni aankhon par patti baandh li ke kahin bete ki mohabbat allah ke hukm ko poora karne se na roke aur gale par churi chala di isi waqt awaaz aayi ke ae ibrahim tu ne hamare hukm ko sachcha kar dikhaya aur jab ibrahim alaihi sallam ne aankhon se patti kholi to hazrat Ismail alaihi sallam ke bajaye ek dumba zubaah kiya hua pada tha issi waqiye ki yaad mein musalmaan har saal qurbaniyan karte hain hazrat ibrahim alaihi sallam aur hazrat Ismail alaihi sallam ki zindagi se humko bahut se sabaq milte hain ibrahim alaihi sallam ne humko sikhaya ke allah ki raza ke liye maa baap ko chorda ja sakta hai apne mulk wa baradari ko khairbaad kaha ja sakta hai apne bachche aur biwi ko jungle mein be saro samaan chord kar in se bhi peet pheri ja sakta hai allah ta’ala agar kisi musalmaan ka imtehaan lete hai aur is mein wo kamiyab ho jata hai to allah ta’ala is ko phir aur zyada nematein dete hain.

  • HAZRAT ESA ALAIHI SALLAM 2024

    Hazrat maryam ke bayan mein aapko bataya ja chuaka hai  ke hazrat esa ali salam ki paidaish kis tarah allah ke hukm se hui  aur allah ta’ala ne aap ko bachpan mein bolna sikha diya  aapne logon se baatein ki … Pura waqia


  • SAYYEDUNA ZUBAIR BIN AWWAM [RADHIYALLAHU ANHU] 2024

    SAYYEDUNA ZUBAIR BIN AWWAM [RADHIYALLAHU ANHU] 2024

    Nabi e kareem [sallallahu alaihi wa sallam] ne farmaya “har nabi ka ek hawari [khaas madadgar] hota hai aur mera hawari zubair hai” [sahih bukhari:2846] sayyeduna zubair bin awwam [radhiyallahu anhu] azeem sahabi e rasool aur ashra e mubashsharah mein … Pura waqia


  • Hazrat ali full waqia in roman english and urdu

    Hazrat ali full waqia in roman english and urdu

    nabi e kareem [sallallahu alaihi wa sallam] ne farmaya “ali se mahabbat momin hi rakhta hai aur un se bughz munafiq hi rakhta hai” [sahih muslim:78] ameerul momineen chauthe khalifa e rashid ashra e mubashsharah mein se ek shakhsiyat Rasoolullah … Pura waqia


  • SAYYEDUNA UTHMAN BIN AFFAN [RAZIYALLAHU ANHU] in roman English & urdu 2024

    SAYYEDUNA UTHMAN BIN AFFAN                        [RAZIYALLAHU ANHU] in roman English & urdu  2024

    hazrat syedna uthman raziyallahu anhu [1] nabi e kareem [sallallahu alaihi wa sallam] ne farmaya main us shakhs se kyon haya na karun jis se Malaika [farishte] bhi haya karte hain [sahih muslim:2401] khalifa e som ameerul momineen sayyeduna uthman … Pura waqia


  • hazrat luqman hakeem alisalam ka full waqia 2024

    hazrat luqman hakeem alisalam ka full waqia 2024

    HAZRAT LUQMAAN ALAIHISSALAM HAZRAT LUQMAAN KI nasihatHazrat luqmaan alaihissalam ka naam aapne suna hoga Allah Ta’ala ne inko aisi hikmat ataa ki thi ke inka naam aaj tak zinda hai aur quran paak mein bhi ek surat ka naam luqmaan … Pura waqia


  • hazrat umar farooq ki zindagi full waqia in roman english 2024

    hazrat umar farooq ki zindagi full waqia in roman english 2024

    SAYYEDUNA UMAR FAROOQ SAYYEDUNA UMAR FAROOQ Nabi kareem [sallallahu Alaihi wa sallam] ne farmaya: “JISS RAASTE PAR UMAR CHALTE HAIN SHAITAN USS RAASTE SE HAT JATA HAI.” [SAHIH BUKHARI:3683]Musalmanon ke dusre khalifa, ameerul momineen sayyeduna umar bin khattab [Radhiyallahu anhu] … Pura waqia


  • ashab e kahf ka waqia in roman english

    ashab e kahf ka waqia in roman english

    ashb e kahaf ka matlab ashab e kahf ka matlab gaar wale ke hain ye chand sache momin naujawan bachon ka qaissa hai jisko quran e paak mein sureh kahaf mein zikar aaya hai ashab e kahf kise nabi ki … Pura waqia


  • Deeni ke 5 shobay in roman English 2024

    Deeni ke 5 shobay in roman English 2024

    DEENI KAY 5 SHOBAY [SECTIONS]: 1. Emaaniyaat Deeni ke 5 shobay in roman English 2024 yaani woh cheezein jin par har ek musalmaan ko dil say pakka yaqeen rakhna aur maanna zaroori hai, jaisay Allaah ek hai aur Hazrat Muhammad … Pura waqia


  • HAZRAT IBRAHIM ALAIHI SALLAM ROMAN ENGLISH AND URDU 2024

    HAZRAT IBRAHIM ALAIHI SALLAM ROMAN ENGLISH AND URDU 2024

    Bachcho aap ka zikr quran majeed mein 68 jagah aaya hai hazrat ibrahim alaihi sallam bahut hi bade nabi guzre hain duniya mein jab buth parasti ka zor hogaya log buthon ko banate aur khud inki pooja karte hazrat ibrahim … Pura waqia


Leave a comment